phir usii rahguzaar par shaayad
— Ahmad Faraz
Phir usee rahguzaar par shaayad
Ham kabhi mil saken magar shaayad
Jin ke ham muntazir rahe un ko
Mil ga.e aur ham-safar shaayad
Jaan-pahchaan se bhee kya hogaa
Phir bhee ai dost ghaur kar shaayad
Ajnabiyyat kee dhund chhaT jaa.e
Chamak uTThe tiree nazar shaayad
Zindagee bhar lahoo rulaa.egee
Yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad
Jo bhee bichhDe wo kab mile hain 'faraaz'
Phir bhee too intizaar kar shaayad