saamne us ke kabhi us ki sataaish nahin ki
— Ahmad Faraz
Saamne us ke kabhi us kee sataa.ish nahin kee
Dil ne chaahaa bhee agar honTon ne jumbish nahin kee
Ahl-e-mahfil pe kab ahvaal khulaa hai apna
Main bhee khaamosh raha us ne bhee pursish nahin kee
Jis qadar us se ta'alluq thaa chalaa jaataa hai
Us kaa kya ranj ho jis kee kabhi khwaish nahin kee
Ye bhee kya kam hai ki donon kaa bharam qaa.em hai
Us ne bakhshish nahin kee ham ne guzaarish nahin kee
Ik to ham ko adab aadaab ne pyaasaa rakkhaa
Us pe mahfil men suraahee ne bhee gardish nahin kee
Ham ki dukh oDh ke khalvat men paDe rahte hain
Ham ne baazaar men zakhmon kee numaa.ish nahin kee
Ai mire abr-e-karam dekh ye veeraana-e-jaan
Kya kisee dasht pe too ne kabhi baarish nahin kee
KaT mare apne qabeele kee hifaazat ke liye
Maqtal-e-shahr men Thahre rahe jumbish nahin kee
Wo hamen bhuul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz'
Ham ne bhee mel-mulaaqaat kee koshish nahin kee