tazmiin gam tumhaaraa tha zindagii goyaa
— Ahmad Faraz
Gham tumhaaraa tha zindagee goyaa
Tum ko khoyaa use nahin khoyaa
Fart-e-girya se jee na halkaa ho
Bas yahee soch kar nahin royaa
Ashk to ashk hain sharaab se bhee
Main ne ye daagh-e-dil nahin dhoyaa
Main wo kisht-e-nashaat kyon kaaToon
Jis ko main ne kabhi nahin boyaa
Aabla aabla thee jaan phir bhee
Baar-e-hastee ko umr bhar Dhoyaa
Deeda-o-dil gavaah hain jaanaan
Sukh se jaagaa na chain se soyaa
Doosraa koi saath ho ki na ho
Tum mire paas hote ho goyaa
Gham tumhaara tha zindagi goya
Tum ko khoya use nahin khoya
Fart-e-girya se ji na halka ho
Bas yahi soch kar nahin roya
Ashk to ashk hain sharab se bhi
Main ne ye dagh-e-dil nahin dhoya
Main wo kisht-e-nashat kyon kaTun
Jis ko main ne kabhi nahin boya
Aabla aabla thi jaan phir bhi
Bar-e-hasti ko umr bhar Dhoya
Dida-o-dil gawah hain jaanan
Sukh se jaga na chain se soya
Dusra koi sath ho ki na ho
Tum mere pas hote ho goya