tere hote hue mahfil men jalaate hain charaag
— Ahmad Faraz
Tere hote hue mahfil men jalaate hain charaagh
Log kya saada hain suraj ko dikhaate hain charaagh
Apnee mahroomee ke ehsaas se sharminda hain
Khud nahin rakhte to auron ke bujhaate hain charaagh
Bastiyaan duur huee jaatee hain rafta rafta
Dam-ba-dam aankhon se chhupte chale jaate hain charaagh
Kya khabar un ko ki daaman bhee bhaDak uThte hain
Jo zamaane kee havaaon se bachaate hain charaagh
Go siyah-bakht hain ham log pe raushan hai zameer
Khud andhere men hain dunya ko dikhaate hain charaagh
Bastiyaan chaand sitaaron kee basaane vaalo
Kurra-e-arz pe bujhte chale jaate hain charaagh
Aise bedard hue ham bhee ki ab gulshan par
Barq girtee hai to zindaan men jalaate hain charaagh
Aisi taareekiyaan aankhon men basee hain ki 'faraaz'
Raat to raat hai ham din ko jalaate hain charaagh