us kaa apna hi karishma hai fusuun hai yuun hai
— Ahmad Faraz
Us kaa apna hee karishma hai fusoon hai yuun hai
Yuun to kahne ko sabhee kahte hain yuun hai yuun hai
Jaise koee dar-e-dil par ho sitaada kab se
Ek saaya na daroon hai na baroon hai yuun hai
Tum ne dekhee hee naheen dasht-e-wafa kee tasveer
Nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuun hai
Tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e
Ishq kaa naam khirad hai na junoon hai yuun hai
Ab tum aa.e ho miree jaan tamaashaa karne
Ab to Dariya men talaatum na sukoon hai yuun hai
Naasehaa tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai
Roz aa jaataa hai samjhaataa hai yuun hai yuun hai
Shaa.iree taaza zamaanon kee hai me.amaar 'faraaz'
Ye bhee ik silsila-e-kun-fayakoon hai yuun hai