us ko judaa hue bhi zamaana bahut huaa
— Ahmad Faraz
Us ko judaa hue bhee zamaana bahut huaa
Ab kya kahen ye qissa puraanaa bahut huaa
Dhaltee na thee kisee bhee jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naa-gahaan tiraa aanaa bahut huaa
Ham khuld se nikal to ga.e hain par ai khuda
Itne se vaaqiye kaa fasaana bahut huaa
Ab ham hain aur saare zamaane kee dushmanee
Us se zaraa saa rabt baDhaanaa bahut huaa
Ab kyuun na zindagee pe mohabbat ko vaar den
Is aashiqee men jaan se jaanaa bahut huaa
Ab tak to dil kaa dil se ta.aaruf na ho sakaa
Maanaa ki us se milnaa milaanaa bahut huaa
Kya kya na ham kharaab hue hain magar ye dil
Ai yaad-e-yaar teraa Thikaana bahut huaa
Kahtaa thaa naasehon se mire munh na aa.iyo
Phir kya thaa ek hoo kaa bahaana bahut huaa
Lo phir tire labon pe usee bevafaa kaa zikr
Ahmad-'faraaz' tujh se kahaa naa bahut huaa