ye kya ki sab se bayaan dil ki haalaten karnii
— Ahmad Faraz
Ye kya ki sab se bayaan dil kee haalaten karnee
'faraaz' tujh ko na aa.iin mohabbaten karnee
Ye qurb kya hai ki too saamne hai aur hamen
Shumaar abhee se judaa.ee kee saa.aten karnee
Koi khuda ho ki patthar jise bhee ham chaahen
Tamaam umr usee kee ibaadaten karnee
Sab apne apne qareene se muntazir us ke
Kisee ko shukr kisee ko shikaayaten karnee
Ham apne dil se hee majboor aur logon ko
Zaraa see baat pe barpaa qayaamaten karnee
Milen jab un se to mub.ham see guftugoo karnaa
Phir apne aap se sau sau vazaahaten karnee
Ye log kaise magar dushmanee nibaahte hain
Hamen to raas na aa.iin mohabbaten karnee
Kabhi 'faraaz' na.e mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraanee rifaaqaten karnee