zindagii se yahii gila hai mujhe
— Ahmad Faraz
Zindagee se yahee gila hai mujhe
Too bahut der se milaa hai mujhe
Too mohabbat se koi chaal to chal
Haar jaane kaa hausla hai mujhe
Dil dhaDaktaa nahin Tapaktaa hai
Kal jo khwaish thee aabla hai mujhe
Ham-safar chaahiye hujoom nahin
Ik musaafir bhee qaafila hai mujhe
Kohkan ho ki qais ho ki 'faraaz'
Sab men ik shakhs hee milaa hai mujhe