ab wo galiyaan wo makaan yaad nahin

Ahmad Mushtaq

Ab wo galiyaan wo makaan yaad nahin Kaun rahtaa tha kahaan yaad nahin Jalva-e-husn-e-azal the wo dayaar Jin ke ab naam-o-nishaan yaad nahin Koi ujlaa saa bhalaa saa ghar tha Kis ko dekhaa tha vahaan yaad nahin Yaad hai zeena-e-pechaan us kaa Dar-o-deevaar-e-makaan yaad nahin Yaad hai zamzama-e-saaz-e-bahaar Shor-e-awaaz-e-khizaan yaad nahin