bahut ruk ruk ke chaltii hai havaa khaalii makaanon men
— Ahmad Mushtaq
Bahut ruk ruk ke chaltee hai havaa khaalee makaanon men
Bujhe TukDe paDe hain sigreTon ke raakh-daanon men
Dhuen se aasmaan kaa rang mailaa hota jaataa hai
Hare jangal badalte jaa rahe hain kaar-khaanon men
Bhalee lagtee hai aankhon ko na.e phoolon kee rangat bhee
Puraane zamzame bhee goonjte rahte hain kaanon men
Vahee gulshan hai lekin vaqt kee parvaaz to dekho
Koee taa.ir naheen pichhle baras ke aashiyaanon men
Zabaanon par ulajhte doston ko kaun samjhaa.e
Mohabbat kee zabaan mumtaaz hai saaree zabaanon men