chaand is ghar ke dariichon ke baraabar aayaa

Ahmad Mushtaq

Chaand us ghar ke dareechon ke baraabar aayaa Dil-e-mushtaaq Thahar jaa vahee manzar aayaa Main bahut khush thaa kaDee dhoop ke sannaaTe men Kyuun tiree yaad kaa baadal mire sar par aayaa Bujh ga.ee raunaq-e-parvaana to mahfil chamkee So ga.e ahl-e-tamannaa to sitamgar aayaa Yaar sab jam.a hue raat kee khaamoshee men Koi ro kar to koi baal banaa kar aayaa