haath se naaptaa hoon dard ki gahraaii ko
— Ahmad Mushtaq
Haath se naaptaa hoon dard kee gahraa.ee ko
Ye nayaa khel milaa hai miree tanhaa.ee ko
Thaa jo siine men charaagh-e-dil-e-pur-khoon na raha
ChaaTiye baith ke ab sabr-o-shakebaa.ee ko
Dil-e-afsurda kisee tarah bahaltaa hee nahin
Kya karen aap kee is hausla-afzaa.ee ko
Khair badnaam to pahle bhee bahut the lekin
Tujh se milnaa thaa ki par lag ga.e rusvaa.ee ko
Nigah-e-naaz na milte hue ghabraa ham se
Ham mohabbat nahin kahne ke shanaasaa.ee ko
Dil hai nairangee-e-ayyaam pe hairaan ab tak
Itnee see baat bhee maa'loom nahin bhaa.ee ko