har lamha zulmaton ki khudaaii kaa vaqt hai

Ahmad Mushtaq

Har lamha zulmaton kee khuda.ee kaa vaqt hai Shaayad kisee kee chehra-numaa.ee kaa vaqt hai Kahtee hai saahilon se ye jaate samay kee dhoop Hushyaar naddiyon kee chaDhaa.ee kaa vaqt hai Hotee hai shaam aankh se aansoo ravaan hue Ye vaqt qaidiyon kee rihaa.ee kaa vaqt hai Koee bhee vaqt ho kabhee hota naheen judaa Kitnaa aziiz us kee judaa.ee kaa vaqt hai Dil ne kahaa ki shaam-e-shab-e-vasl se na bhaag Ab pak chukee hai fasl kaTaa.ee kaa vaqt hai Main ne kahaa ki dekh ye main ye havaa ye raat Us ne kahaa ki meree paDhaa.ee kaa vaqt hai