ishq men kaun bataa saktaa hai

Ahmad Mushtaq

Ishq men kaun bataa saktaa hai Kis ne kis se sach bolaa hai Ham tum saath hain is lamhe men Dukh sukh to apna apna hai Mujh ko to saare naamon men Teraa naam achchhaa lagtaa hai Bhuul ga.ee wo shakl bhee aakhir Kab tak yaad koee rahtaa hai