khvaab ke phuulon ki taabiiren kahaanii ho gaiin

Ahmad Mushtaq

Khvaab ke phoolon kee ta.abeeren kahaanee ho ga.iin Khoon ThanDaa paD gaya aankhen puraanee ho ga.iin Jis kaa chehra thaa chamakte mausamon kee aarzoo Us kee tasveeren bhee auraaq-e-khizaanee ho ga.iin Dil bhar aayaa kaaghaz-e-khaalee kee soorat dekh kar Jin ko likhnaa thaa wo sab baaten zabaanee ho ga.iin Jo muqaddar thaa use to roknaa bas men na thaa Un kaa kya karte jo baaten naa-gahaanee ho ga.iin Rah gaya 'mushtaaq' dil men rang-e-yaad-e-raftagaan Phuul mahnge ho ga.e qabren puraanee ho ga.iin