kis shai pe yahaan vaqt kaa saaya nahin hota
— Ahmad Mushtaq
Kis shai pe yahaan vaqt kaa saaya naheen hota
Ik khvaab-e-mohabbat hai ki booDhaa naheen hota
Wo vaqt bhee aataa hai jab aankhon men hamaaree
Phirtee hain wo shaklen jinhen dekhaa naheen hota
Baarish wo barastee hai ki bhar jaate hain jal-thal
Dekho to kaheen abr kaa TukDaa naheen hota
Ghir jaataa hai dil dard kee har band galee men
Chaaho ki nikal jaa.en to rasta naheen hota
Yaadon pe bhee jam jaatee hai jab gard-e-zamaana
Miltaa hai wo paighaam ki pahunchaa naheen hota
Tanhaa.ee men karnee to hai ik baat kisee se
Lekin wo kisee vaqt akelaa naheen hota
Kya us se gila keejiye barbaadee-e-dil kaa
Ham se bhee to iz.haar-e-tamannaa naheen hota