manzar e subh dikhaane use laayaa na gaya
— Ahmad Mushtaq
Manzar-e-sub.h dikhaane use laayaa na gaya
Aatee jaatee raheen shaamen koi aayaa na gaya
Raat bistar pe khule chaand men sotaa thaa koi
Main ne chaahaa ki jagaa.oon to jagaayaa na gaya
Ek muddat use dekhaa use chaahaa lekin
Wo kabhi paas se guzraa to bulaayaa na gaya
Ghere rahtee thee use ek jahaan kee nazren
Phir jo dekhaa to wo us aan men paayaa na gaya
Sar uThaate hee kaDee dhoop kee yalghaar huee
Do qadam bhee kisee deevaar kaa saayaa na gaya
Thaa muqarrar ki mulaaqaat rahegee us se
Wo to pahunchaa thaa magar mujh se hee aayaa na gaya