mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaaegaa
— Ahmad Mushtaq
Mil hee aate hain use aisa bhee kya ho jaa.egaa
Bas yahee naa dard Kuch dil kaa sivaa ho jaa.egaa
Wo mire dil kee pareshaanee se afsurda ho kyuun
Dil kaa kya hai kal ko phir achchhaa bhalaa ho jaa.egaa
Ghar se Kuch khawabon se milne ke liye nikle the ham
Kya khabar thee zindagee se saamnaa ho jaa.egaa
Rone lagtaa hoon mohabbat men to kahtaa hai koi
Kya tire ashkon se ye jangal haraa ho jaa.egaa
Kaise aa saktee hai aisi dil-nasheen Dunya ko maut
Kaun kahtaa hai ki ye sab Kuch fanaa ho jaa.egaa