mil hi jaaegaa kabhi dil ko yaqiin rahtaa hai
— Ahmad Mushtaq
Mil hee jaa.egaa kabhee dil ko yaqeen rahtaa hai
Wo isee shahr kee galiyon men kaheen rahtaa hai
Jis kee saanson se mahakte the dar-o-baam tire
Ai makaan bol kahaan ab wo makeen rahtaa hai
Ik zamaana thaa ki sab ek jagah rahte the
Aur ab koee kaheen koee kaheen rahtaa hai
Roz milne pe bhee lagtaa thaa ki jug biit ga.e
Ishq men vaqt kaa ehsaas naheen rahtaa hai
Dil fasurda to huaa dekh ke us ko lekin
Umr bhar kaun javaan kaun haseen rahtaa hai