mujhe us ne tirii khabar dii hai
— Ahmad Mushtaq
Mujhe us ne tiree khabar dee hai
Jis ne har shaam ko sahar dee hai
Gum raha hoon tire khayaalon men
Tujh ko awaaz umr bhar dee hai
Din thaa aur gard-e-rahguzaar naseeb
Raat hai aur sitaara-gardee hai
Sard-o-garm-e-zamaana dekh liyaa
Na wo garmee hai ab na sardee hai