naala e khuuniin se raushan dard ki raaten karo
— Ahmad Mushtaq
Naala-e-khooneen se raushan dard kee raaten karo
Main nahin kahtaa duaa maango munaajaaten karo
Dil ke guchchhe men hain saare mausamon kee chaabiyaan
Dhoop kholo chaandnee chhiTkaao barsaaten karo
Jo nahin sunte hain un ko bhee sunaao apnee baat
Jo nahin milte hain un se bhee mulaaqaaten karo
Maut khaamoshee hai chup rehne se chup lag jaa.egee
Zindagee awaaz hai baaten karo baaten karo