paanii men aks aur kisi aasmaan kaa hai

Ahmad Mushtaq

Paanee men aks aur kisee aasmaan kaa hai Ye naav kaun see hai ye Dariya kahaan kaa hai Deevaar par khile hain na.e mausamon ke phuul Saaya zameen par kisee pichhle makaan kaa hai Chaaron taraf hain sabz salaakhen bahaar kee Jin men ghiraa huaa koi mausam khizaan kaa hai Sab Kuch badal gaya hai tah-e-aasmaan magar Baadal vahee hain rang vahee aasmaan kaa hai Dil men khayaal-e-shahr-e-tamannaa thaa jis jagah Vaan ab malaal ik safar-e-raa.egaan kaa hai