shaam hotii hai to yaad aatii hai saarii baaten
— Ahmad Mushtaq
Shaam hotee hai to yaad aatee hai saaree baaten
Wo dopahron kee khamoshee wo hamaaree baaten
Aankhen kholoon to dikhaa.ee naheen detaa koee
Band kartaa hoon to ho jaatee hain jaaree baaten
Kabhee ik harf nikaltaa naheen munh se mere
Kabhee ik saans men kar jaataa hoon saaree baaten
Jaane kis khaak men posheeda hain aansoo mere
Kin fazaaon men muallaq hain tumhaaree baaten
Kis mulaaqaat kee ummeed liye baiThaa hoon
Main ne kis din pe uThaa rakkhee hain saaree baaten