tum aae ho tumhen bhi aazmaa kar dekh letaa hoon

Ahmad Mushtaq

Tum aa.e ho tumhen bhee aazmaa kar dekh letaa hoon Tumhaare saath bhee Kuch duur jaa kar dekh letaa hoon Havaa.en jin kee andhee khiDkiyon par sar paTaktee hain Main un kamron men phir sham.en jalaa kar dekh letaa hoon Ajab kya is qareene se koi soorat nikal aa.e Tiree baaton ko khawabon se milaa kar dekh letaa hoon Sahar-dam kirchiyaan TuuTe hue khawabon kee miltee hain To bistar jhaaD kar chaadar haTaa kar dekh letaa hoon Bahut dil ko dukhaataa hai kabhi jab dard-e-mahjooree Tiree yaadon kee jaanib muskuraa kar dekh letaa hoon UDaa kar rang Kuch honTon se Kuch aankhon se Kuch dil se Ga.e lamhon ko tasveeren banaa kar dekh letaa hoon Nahin ho tum bhee wo ab mujh se yaaro kya chhupaaoge Havaa kee samt ko miTTee uDaa kar dekh letaa hoon Sunaa hai be-niyaazee hee ilaaj-e-naa-umeedee hai Ye nuskha bhee koi din aazmaa kar dekh letaa hoon Mohabbat mar ga.ee 'mushtaaq' lekin tum na maanoge Main ye afvaah bhee tum ko sunaa kar dekh letaa hoon