zameen se ugtii hai yaa aasmaan se aatii hai

Ahmad Mushtaq

Zameen se ugtee hai yaa aasmaan se aatee hai Ye be-iraada udaasee kahaan se aatee hai Ise na.e dar-o-deevaar bhee na rok sake Wo ik sadaa jo puraane makaan se aatee hai Badan kee boss naseem-e-libaas boo-e-nafas Koi mahak ho usee khaak-daan se aatee hai Dilon kee barf pighaltee nahin hai jis ke baghair Wo aanch ek gham-e-be-nishaan se aatee hai Sukhan-varee hai nazar se nazar kaa naaz-o-niyaaz Aruuz se na zabaan-o-bayaan se aatee hai