aakhirii baar andhere ke pujaarii sun len

Ahmad Nadeem Qasmi

Aakhiree baar andhere ke pujaaree sun len Main sahar hoon main ujaalaa hoon haqeeqat hoon main Main mohabbat kaa to deta hoon mohabbat se javaab Lekin a.adaa ke liye qahr-o-qayaamat hoon main Miraa dushman mujhe lalkaar ke jaa.egaa kahaan Khaak kaa taish hoon aflaak kee dahshat hoon main