aqiide
— Ahmad Nadeem Qasmi
Apne maazee ke ghane jangal se
Kaun niklegaa! kahaan niklegaa
Be-karaan raat sitaare naabood
Chaand ubhraa hai? kahaan ubhraa hai?
Ik fasaana hai tajallee kee numood
Kitne gunjaan hain ashjaar-e-buland
Kitnaa mauhoom hai aadam kaa vajood
Muzmahil chaal qadam bojhal se
Apne maazee ke ghane jangal se
Mujh ko soojhee hai na.ee raah-e-faraar
Aahan o sang o sharar barsaa.en
Aao ashjaar kee buniyaadon par
Tesha o tegh-o-tabar barsaa.en
Ik tasalsul se ham apnee choTen
Be-khatar baar-e-digar barsaa.en
Zehn par chhaa.e hain kyuun baadal se
Apne maazee ke ghane jangal se
Nau-e-insaan ko nikalnaa hogaa
In andheron ko nigalnaa hogaa
Apne mazi ke ghane jangal se
Kaun niklega! kahan niklega
Be-karan raat sitare nabud
Chand ubhra hai? kahan ubhra hai?
Ek fasana hai tajalli ki numud
Kitne gunjaan hain ashjar-e-buland
Kitna mauhum hai aadam ka wajud
Muzmahil chaal qadam bojhal se
Apne mazi ke ghane jangal se
Mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar
Aahan o sang o sharar barsaen
Aao ashjar ki buniyaadon par
Tesha o tegh-o-tabar barsaen
Ek tasalsul se hum apni choTen
Be-KHatar bar-e-digar barsaen
Zehn par chhae hain kyun baadal se
Apne mazi ke ghane jangal se
Nau-e-insan ko nikalna hoga
In andheron ko nigalna hoga