bahut se bachchon kaa ghar abbaa to chale gae hain daftar

Ahmad Nadeem Qasmi

Abbaa to chale ga.e hain daftar Ammee ko bukhaar aa raha hai Chhamman to gaya huaa hai baazaar Jumman khaanaa pakaa raha hai Zaibun ko usee kaa taaza bachcha Pakkaa gaanaa sunaa raha hai Amjad sofe par ko.ele se Kaalaa totaa banaa raha hai Aslam daadee kee le ke tasveer Us kee monchhen ugaa raha hai Tauqeer blade ke kamaalaat Qaaleen pe aazmaa raha hai Chhe saat tipaa.iyaan milaa kar Akbar gaaDee chalaa raha hai Tasneem banee huee hai ghoDaa Jo mez pe bhaagaa jaa raha hai 'akhtar' parde kee jhaalron se Billee ko dulhan banaa raha hai Nanhaa iqbaal leTe leTe Nadee naale bahaa raha hai Sunte hain ki anqareeb in kaa Ek aur bhee bhaa.ee aa raha hai Abba to chale gae hain daftar Ammi ko buKHar aa raha hai Chhamman to gaya hua hai bazar Jumman khana paka raha hai Zaibun ko usi ka taza bachcha Pakka gana suna raha hai Amjad sofe par koele se Kala tota bana raha hai Aslam dadi ki le ke taswir Us ki monchhen uga raha hai Tauqir blade ke kamalat Qalin pe aazma raha hai Chhe sat tipaiyan mila kar Akbar gaDi chala raha hai Tasnim bani hui hai ghoDa Jo mez pe bhaga ja raha hai 'aKHtar' parde ki jhaalron se Billi ko dulhan bana raha hai Nanha iqbaal leTe leTe Nadi nale baha raha hai Sunte hain ki anqarib in ka Ek aur bhi bhai aa raha hai