biisviin sadii kaa insaan
— Ahmad Nadeem Qasmi
Mujhe sameTo
Main reza reza bikhar raha hoon
Na jaane main baDh raha hoon
Yaa apne hee ghubaar-e-safar men har pal utar raha hoon
Na jaane main jee raha hoon
Yaa apne hee taraashe hue na.e raaston kee tanhaa.iyon men har lahza mar raha hoon
Main ek patthar sahee magar har savaal kaa baaz-gasht ban kar javaab doongaa
Mujhe pukaaro mujhe sadaa do
Main ek sahraa sahee magar mujh pe ghir ke barso
Mujhe mahakne kaa valvala do
Main ik samundar sahee magar aaftaab kee tarah mujh pe chamko
Mujhe bulandee kee samt uDne kaa hausla do
Mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahee
Magar os ke bajaa.e lahoo men tar hoon
Mujhe na maaro
Main zindagee ke jamaal aur gahmaa-gahmiyon kaa payaambar hoon
Mujhe bachaao ki main zameen hoon
KaroDon karoDon kee kaa.enaat-e-baseet men sirf main hee hoon
Jo khuda kaa ghar hoon
Mujhe sameTo
Main reza reza bikhar raha hun
Na jaane main baDh raha hun
Ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun
Na jaane main ji raha hun
Ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun
Main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga
Mujhe pukaro mujhe sada do
Main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso
Mujhe mahakne ka walwala do
Main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko
Mujhe bulandi ki samt uDne ka hausla do
Mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahi
Magar os ke bajae lahu mein tar hun
Mujhe na maro
Main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun
Mujhe bachao ki main zamin hun
KaroDon karoDon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun
Jo KHuda ka ghar hun