fan

Ahmad Nadeem Qasmi

Ek raqqaasa thee kis kis se ishaare kartee Aankhen pathraa.ee adaaon men tavaazun na raha Dagmagaa.ee to sab atraaf se awaaz aa.ee ''fan ke is auj pe ik tere sivaa kaun gaya'' Farsh-e-marmar pe giree gir ke uThee uTh ke jhukee Khushk honTon pe zabaan pher ke paanee maangaa Ok uThaa.ee to tamaashaa.ee sambhal kar bole Raqs kaa ye bhee ik andaaz hai allaah allaah Haath phaile hee rahe sil ga.ee honTon se zabaan Ek raqqaas kisee samt se naagaah baDhaa! Parda sarkaa to ma.an fan ke pujaaree garje ''raqs kyuun khatm huaa? waqt abhee baaqee tha'' Ek raqqasa thi kis kis se ishaare karti Aankhen pathrai adaon mein tawazun na raha Dagmagai to sab atraf se aawaz aai Fan ke is auj pe ek tere siwa kaun gaya Farsh-e-marmar pe giri gir ke uThi uTh ke jhuki KHushk honTon pe zaban pher ke pani manga Ok uThai to tamashai sambhal kar bole Raqs ka ye bhi ek andaz hai allah allah Hath phaile hi rahe sil gai honTon se zaban Ek raqqas kisi samt se nagah baDha! Parda sarka to man fan ke pujari garje Raqs kyun KHatm hua? waqt abhi baqi tha