giit
— Ahmad Nadeem Qasmi
Raat din silsila-e-umr-e-ravaan kee kaDiyaan
Kal jahaan ruuh jhulas jaatee thee
Apne saa.e se bhee aanch aatee thee
Aaj usee dasht pe saavan kee lagee hain jhaDiyaan
Raat din silsila-e-umr-e-ravaan kee kaDiyaan
Shab ko jo vaadiyaan sunsaan raheen
Sub.h yuun os se aaraasta thiin
Har taraf motiyon kee jaise tanee huee laDiyaan
Raat din silsila-e-umr-e-ravaan kee kaDiyaan
ToD kar paanv na baiTho aao!
Sub.h ke aur qareeb aa jaao!
Yuun to har haal men kaTtee hee rahengee ghaDiyaan
Raat din silsila-e-umr-e-ravaan kee kaDiyaan
Raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
Kal jahan ruh jhulas jati thi
Apne sae se bhi aanch aati thi
Aaj usi dasht pe sawan ki lagi hain jhaDiyan
Raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
Shab ko jo wadiyan sunsan rahin
Subh yun os se aarasta thin
Har taraf motiyon ki jaise tani hui laDiyan
Raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
ToD kar panw na baiTho aao!
Subh ke aur qarib aa jao!
Yun to har haal mein kaTti hi rahengi ghaDiyan
Raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan