gunaah o savaab
— Ahmad Nadeem Qasmi
Mehrbaan raat ne
Apnee aaghosh men
Kitne tarse hue be-gunaahon ko bheenchaa
Dilaasaa diyaa
Aur unhen is tarah ke gunaahon kee targheeb dee
Jis tarah ke gunaahon se meelaad-e-aadam huaa tha
Mehrban raat ne
Apni aaghosh mein
Kitne tarse hue be-gunahon ko bhincha
Dilasa diya
Aur unhen is tarah ke gunahon ki targhib di
Jis tarah ke gunahon se milad-e-adam hua tha