izhaar tujhe izhaar e mohabbat se agar nafrat hai
— Ahmad Nadeem Qasmi
Tujhe iz.haar-e-mohabbat se agar nafrat hai
Too ne honTon ko larazne se to rokaa hota
Be-niyaazee se magar kaanptee awaaz ke saath
Too ne ghabraa ke miraa naam na poochhaa hota
Tere bas men thee agar mash.al-e-jazbaat kee lau
Tere rukhsaar men gulzaar na bhaDkaa hota
Yuun to mujh se huiin sirf aab-o-havaa kee baaten
Apne TuuTe hue fiqron ko to parkhaa hota
Yoonhee be-vaj.h ThiTakne kee zaroorat kya thee
Dam-e-rukhsat main agar yaad na aayaa hota
Teraa ghammaaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam
Dil na sambhlaa tha to qadmon ko sambhaalaa hota
Apne badle miree tasveer nazar aa jaatee
Too ne us waqt agar aa.ina dekhaa hota
Hausla tujh ko na tha mujh se judaa hone kaa
Varna kaajal tiree aankhon men na phailaa hota
Tujhe izhaar-e-mohabbat se agar nafrat hai
Tu ne honTon ko larazne se to roka hota
Be-niyazi se magar kanpti aawaz ke sath
Tu ne ghabra ke mera nam na puchha hota
Tere bas mein thi agar mashal-e-jazbaat ki lau
Tere ruKHsar mein gulzar na bhaDka hota
Yun to mujh se huin sirf aab-o-hawa ki baaten
Apne TuTe hue fiqron ko to parkha hota
Yunhi be-wajh ThiTakne ki zarurat kya thi
Dam-e-ruKHsat main agar yaad na aaya hota
Tera ghammaz bana KHud tera andaz-e-KHiram
Dil na sambhla tha to qadmon ko sambhaala hota
Apne badle meri taswir nazar aa jati
Tu ne us waqt agar aaina dekha hota
Hausla tujh ko na tha mujh se juda hone ka
Warna kajal teri aankhon mein na phaila hota