jaane kahaan the aur chale the kahaan se ham
— Ahmad Nadeem Qasmi
Jaane kahaan the aur chale the kahaan se ham
Bedaar ho ga.e kisee khvaab-e-giraan se ham
Ai nau-bahaar-e-naaz tiree nik.haton kee khair
Daaman jhaTak ke nikle tire gulsitaan se ham
Pindaar-e-aashiqee kee amaanat hai aah-e-sard
Ye tiir aaj chhoD rahe hain kamaan se ham
Aao ghubaar-e-raah men DhoonDen shameem-e-naaz
Aao khabar bahaar kee poochhen khizaan se ham
Aakhir duaa karen bhee to kis mudda.aa ke saath
Kaise zameen kee baat kahen aasmaan se ham