jab bhi aankhon men tirii rukhsat kaa manzar aa gaya
— Ahmad Nadeem Qasmi
Jab bhee aankhon men tiree rukhsat kaa manzar aa gaya
Aaftaab-e-vaqt neze ke baraabar aa gaya
Dostee kee jab duhaa.ee dee to sharq-o-gharb se
Haath men patthar liye yaaron kaa lashkar aa gaya
Is safar men go tamaazat to bahut thee hijr kee
Main tiree yaadon kee Chaaon sar pe le kar aa gaya
Go zameen-o-aasmaan masroof-e-gardish hain magar
Jab bhee gardish kaa sabab sochaa to chakkar aa gaya
Aadmee ko hashr ke manzar nazar aane lage
Us ke qabze men jab ik zarre kaa jauhar aa gaya
Husn-e-insaan dafn ho jaane se miTtaa hai kahaan
Phuul ban kar khaak ke parde se baahar aa gaya
Ashk jab Tapke kisee bekas kee aankhon se 'nadeem'
Yuun lagaa toofaan kee zad men samundar aa gaya