jadiid tar tujh se ik umr kaa paimaan tha magar meraa nasiib
— Ahmad Nadeem Qasmi
Tujh se ik umr kaa paimaan tha magar meraa naseeb
Inqilaabaat kaa mahkoom huaa jaataa hai
Vo tasavvur jo ka.ee baar nikhaaraa main ne
Itnaa mauhoom hai ma.adoom huaa jaataa hai
Teree aankhon men jagaa.e the sitaare main ne
Aur chhalkaa.e the gaalon men hayaaon ke ayaagh
Koee ehsaas na tha waqt kee gardish kaa mujhe
Varna kya raat se miltaa nahin suraj kaa suraagh
Is chakaa-chaund men ab tujh ko pukaaroon kaise
Sail-e-anvaar men taaron kaa guzar kya hogaa
Tah-e-daaman jo charaaghon ko chhupaa.e rakhoon
Sochtaa hoon ki phir anjaam-e-safar kya hogaa
Mujh ko awaaz na de waqt ke sahraaon men
Main bahut duur bahut duur nikal aayaa hoon
Main ufuq par bhee nahin hoon main falak par bhee nahin
Main tire maazee-e-marhoom kaa ik saaya hoon
Tujh se ek umr ka paiman tha magar mera nasib
Inqilabaat ka mahkum hua jata hai
Wo tasawwur jo kai bar nikhaara main ne
Itna mauhum hai madum hua jata hai
Teri aankhon mein jagae the sitare main ne
Aur chhalkae the galon mein hayaon ke ayagh
Koi ehsas na tha waqt ki gardish ka mujhe
Warna kya raat se milta nahin suraj ka suragh
Is chaka-chaund mein ab tujh ko pukarun kaise
Sail-e-anwar mein taron ka guzar kya hoga
Tah-e-daman jo charaghon ko chhupae rakhun
Sochta hun ki phir anjam-e-safar kya hoga
Mujh ko aawaz na de waqt ke sahraon mein
Main bahut dur bahut dur nikal aaya hun
Main ufuq par bhi nahin hun main falak par bhi nahin
Main tere mazi-e-marhum ka ek saya hun