jangal ki aag
— Ahmad Nadeem Qasmi
Aag jangal men lagee thee lekin
Bastiyon men bhee dhuaan jaa pahunchaa
Ek uDtee huee chingaaree kaa
Saaya phailaa to kahaan jaa pahunchaa
Tang galiyon men umaDte hue log
Go bachaa laa.e hain jaanen apnee
Apne sar par hain janaaze apne
Apne haathon men zubanein apnee
Aag jab tak na bujhe jangal kee
Bastiyon tak koi jaataa hee nahin
Husn-e-ashjaar ke matvaalon ko
Husn-e-insaan nazar aataa hee nahin
Aag jangal mein lagi thi lekin
Bastiyon mein bhi dhuan ja pahuncha
Ek uDti hui chingari ka
Saya phaila to kahan ja pahuncha
Tang galiyon mein umaDte hue log
Go bacha lae hain jaanen apni
Apne sar par hain janaze apne
Apne hathon mein zabanen apni
Aag jab tak na bujhe jangal ki
Bastiyon tak koi jata hi nahin
Husn-e-ashjar ke matwalon ko
Husn-e-insan nazar aata hi nahin