ji chaahtaa hai falak pe jaon
— Ahmad Nadeem Qasmi
Jee chaahtaa hai falak pe jaaon
Sooraj ko ghuroob se bachaa.oon
Bas meraa chale jo gardishon par
Din ko bhee na chaand ko bujhaa.oon
Main chhoD ke seedhe raaston ko
BhaTkee huee nekiyaan kamaa.oon
Imkaan pe is qadar yaqeen hai
Sahraaon men biij Daal aa.uun
Main shab ke musaafiron kee khaatir
Mish.al na mile to ghar jalaa.oon
Ash.aar hain mere isti.aare
Aao tumhen aa.ine dikhaa.oon
Yuun baT ke bikhar ke rah gaya hoon
Har shakhs men apna aks paa.oon
Awaaz jo duun kisee ke dar par
Andar se bhee khud nikal ke aa.uun
Ai chaaragaraan-e-asr-e-haazir
Faulaad kaa dil kahaan se laa.oon
Har raat duaa karoon sahar kee
Har sub.h nayaa fareb khaa.oon
Har jabr pe sabr kar raha hoon
Is tarah kaheen ujaD na jaaon
Ronaa bhee to tarz-e-guftugoo hai
Aankhen jo ruken to lab hilaa.oon
Khud ko to 'nadeem' aazmaayaa
Ab mar ke khuda ko aazmaa.oon