main hoon yaa tuu hai khud apne se gurezaan jaise

Ahmad Nadeem Qasmi

Main hoon yaa too hai khud apne se gurezaan jaise Mare aage koi saaya hai khiraamaan jaise Tujh se pahle to bahaaron kaa ye andaaz na thaa Phuul yuun khilte hain jaltaa ho gulistaan jaise Yuun tiree yaad se hota hai ujaalaa dil men Chaandnee men chamak uThtaa hai bayaabaan jaise Dil men raushan hain abhee tak tire va.adon kaa charaagh TooTtee raat ke taare hon farozaan jaise Tujhe paane kee tamannaa tujhe khone kaa yaqeen Tere gesoo mire maahaul men ghaltaan jaise Vaqt badlaa pa na badlaa miraa me.aar-e-wafa Aandhiyon men sar-e-kohsaar charaaghaan jaise Ashk aankhon men chamakte hain tabassum ban kar Aa gaya haath tiraa gosha-e-daamaan jaise Tujh se mil kar bhee tamannaa hai ki tujh se miltaa Pyaar ke ba.ad bhee lab rahte hain larzaan jaise Bharee Dunya men nazar aataa hoon tanhaa tanhaa Margh-zaaron men koi qarya-e-veeraan jaise Gham-e-jaanaan gham-e-dauraan kee taraf yuun aayaa Jaanib-e-shahr chale dukhtar-e-dahqaan jaise Asr-e-haazir ko sunaataa hoon is andaaz men sher Mausam-e-gul ho mazaaron pe gul-afshaan jaise Zakhm bhartaa hai zamaana magar is tarah 'nadeem' See raha ho koi phoolon ke garebaan jaise