main kisi shakhs se bezaar nahin ho saktaa
— Ahmad Nadeem Qasmi
Main kisee shakhs se bezaar nahin ho saktaa
Ek zarra bhee to be-kaar nahin ho saktaa
Is qadar pyaar hai insaan kee khataaon se mujhe
Ki farishta miraa me.aar nahin ho saktaa
Ai khuda phir ye jahannam kaa tamaashaa kiyaa hai
Teraa shahkaar to finnaar nahin ho saktaa
Ai haqeeqat ko faqat khvaab samajhne vaale
Too kabhi saahab-e-asraar nahin ho saktaa
Too ki ik mauja-e-nik.hat se bhee chaunk uThtaa hai
Hashr aataa hai to bedaar nahin ho saktaa
Sar-e-deevaar ye kyuun nirkh kee takraar huee
Ghar kaa aangan kabhi baazaar nahin ho saktaa
Raakh see majlis-e-aqvaam kee Chutki men hai kya
Kuch bhee ho ye miraa pindaar nahin ho saktaa
Is haqeeqat ko samajhne men luTaayaa kya kuch
Meraa dushman miraa gham-khvaar nahin ho saktaa
Main ne bhejaa tujhe aivaan-e-hukoomat men magar
Ab to barson tiraa deedaar nahin ho saktaa
Teergee chaahe sitaaron kee sifaarish laa.e
Raat se mujh ko sarokaar nahin ho saktaa
Wo jo sheron men hai ik shai pas-e-alfaaz 'nadeem'
Us kaa alfaaz men iz.haar nahin ho saktaa