miraa guruur tujhe kho ke haar maan gaya
— Ahmad Nadeem Qasmi
Miraa ghuroor tujhe kho ke haar maan gaya
Main choT khaa ke magar apnee qadr jaan gaya
Kaheen ufuq na milaa meree dasht-gardee ko
Main teree dhun men bharee kaa.enaat chhaan gaya
Khuda ke ba.ad to be-intihaa andheraa hai
Tiree talab men kahaan tak na meraa dhyaan gaya
Jabeen pe bal bhee na aataa ganvaa ke donon-jahaan
Jo too chhinaa to main apnee shikast maan gaya
Badalte rang the teree umang ke ghammaaz
Too mujh se bichhDaa to main teraa raaz jaan gaya
Khud apne aap se main shikva-sanj aaj bhee hoon
'nadeem' yuun to mujhe ik jahaan maan gaya