pas e aaiina
— Ahmad Nadeem Qasmi
Mujhe jamaal-e-badan kaa hai e'tiraaf magar
Main kya karoon ki varaa-e-badan bhee dekhtaa hoon
Ye kaa.enaat faqat ek rukh nahin rakhtee
Chaman bhee dekhtaa hoon aur ban bhee dekhtaa hoon
Miree nazar men hain jab husn ke tamaam andaaz
Main fan bhee dekhtaa hoon fikr-o-fan bhee dekhtaa hoon
Nikal gaya hoon fareb-e-nigaah se aage
Main aasmaan ko shikan-dar-shikan bhee dekhtaa hoon
Vo aadmee ki sabhee ro.e jin kee mayyat par
Main us ko zer-e-kafan khanda-zan bhee dekhtaa hoon
Main jaantaa hoon ki khursheed hai jalaal-ma.aab
Magar ghuroob se khud ko rihaa.ee deta nahin
Main sochtaa hoon ki chaand ik jamaal-paara hai
Magar wo rukh jo kisee ko dikhaa.ee deta nahin
Main sochtaa hoon haqeeqat kaa ye tazaad hai kya
Khudaa jo deta hai sab kuch khudaai deta nahin
Vo log zauq se aaree hain jo ye kahte hain
Ki ashk TooTtaa hai aur sunaa.ee deta nahin
Badan bhee aag hai aur ruuh bhee jahannam hai
Miraa qusoor ye hai men duhaa.ee deta nahin
Mujhe jamal-e-badan ka hai e'tiraf magar
Main kya karun ki wara-e-badan bhi dekhta hun
Ye kaenat faqat ek ruKH nahin rakhti
Chaman bhi dekhta hun aur ban bhi dekhta hun
Meri nazar mein hain jab husn ke tamam andaz
Main fan bhi dekhta hun fikr-o-fan bhi dekhta hun
Nikal gaya hun fareb-e-nigah se aage
Main aasman ko shikan-dar-shikan bhi dekhta hun
Wo aadmi ki sabhi roe jin ki mayyat par
Main us ko zer-e-kafan KHanda-zan bhi dekhta hun
Main jaanta hun ki KHurshid hai jalal-maab
Magar ghurub se KHud ko rihai deta nahin
Main sochta hun ki chand ek jamal-para hai
Magar wo ruKH jo kisi ko dikhai deta nahin
Main sochta hun haqiqat ka ye tazad hai kya
KHuda jo deta hai sab kuch KHudai deta nahin
Wo log zauq se aari hain jo ye kahte hain
Ki ashk TuTta hai aur sunai deta nahin
Badan bhi aag hai aur ruh bhi jahannam hai
Mera qusur ye hai mein duhai deta nahin