patthar ret se but na banaa ai mire achchhe fankaar

Ahmad Nadeem Qasmi

Ret se but na banaa ai mire achchhe fankaar Ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar laa duun Main tire saamne ambaar lagaa duun lekin Kaun se rang kaa patthar tire kaam aa.egaa Surkh patthar jise dil kahtee hai be-dil dunya Yaa wo pathraa.ee huee aankh kaa niilaa patthar Jis men sadiyon ke tahayyur ke paDe hon Dore Kyaa tujhe ruuh ke patthar kee zaroorat hogee Jis pe haq baat bhee patthar kee tarah girtee hai Ik wo patthar hai jo kahlaataa hai tahzeeb-e-safed Us ke marmar men siyah Khoon jhalak jaataa hai Ek insaaf kaa patthar bhee to hota hai magar Haath men tesha-e-zar ho to wo haath aataa hai Jitne meyaar hain is daur ke sab patthar hain Jitnee aqdaar hain is daur kee sab patthar hain Sabza o gul bhee havaa aur fazaa bhee patthar Meraa ilhaam tiraa zehn-e-rasaa bhee patthar Is zamaane men to har fan kaa nishaan patthar hai Haath patthar hain tire meree zabaan patthar hai Ret se but na banaa ai mire achchhe fankaar Ret se but na bana ai mere achchhe fankar Ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar la dun Main tere samne ambar laga dun lekin Kaun se rang ka patthar tere kaam aaega SurKH patthar jise dil kahti hai be-dil duniya Ya wo pathrai hui aankh ka nila patthar Jis mein sadiyon ke tahayyur ke paDe hon Dore Kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi Jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai Ek wo patthar hai jo kahlata hai tahzib-e-safed Us ke marmar mein siyah KHun jhalak jata hai Ek insaf ka patthar bhi to hota hai magar Hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai Jitne meyar hain is daur ke sab patthar hain Jitni aqdar hain is daur ki sab patthar hain Sabza o gul bhi hawa aur faza bhi patthar Mera ilham tera zehn-e-rasa bhi patthar Is zamane mein to har fan ka nishan patthar hai Hath patthar hain tere meri zaban patthar hai Ret se but na bana ai mere achchhe fankar