qaanuun e qudrat galiyon ki sham en bujh gaiin aur shahr suunaa ho gaya
— Ahmad Nadeem Qasmi
Galiyon kee sham'en bujh ga.iin aur shahr suunaa ho gaya
Bijlee kaa khambaa thaam kar baankaa sipaahee so gaya
Taareekiyon kee deviyaan karne lageen sargoshiyaan
Ik dheemee dheemee taan men gaane lageen khaamoshiyaan
Mashriq ke parbat se vare ubhreen ghaTaa.en yak-ba-yak
AngDaa.iyaan lene lageen be-khud havaa.en yak-ba-yak
Taare nikaltee badliyaan chaaron taraf chhaane lageen
Chham-chham phuvaaron kee jhaDee dhartee pe barsaane lageen
Maa.en lapaktee hain kaheen bachche bilakte hain kaheen
Aur khaaT lene ke liye booDhe uchakte hain kaheen
Ik sarsaraahaT see uThee lahraa.ee tham kar rah ga.ee
Har chiiz ne aankhen maleen har chiiz jam kar rah ga.ee
Phir gungunaatee zulmaton kaa sehr har soo chhaa gaya
Baadal kaheen gum ho ga.e taaron pe joban aa gaya
Qudrat ke sab chhoTe baDe qaanoon hain yaksaan magar
Parde paDe hain jaa-ba-jaa chhantee nahin jin se nazar
Insaan kaa maa'soom dil taareek suunaa shahr hai
Jis ke tale ehsaas kee chingaariyon kee lahr hai
Jab dekhtaa hai wo kaheen badmast panghaT vaaliyaan
Gaalon ko jin ke choomtee hain patlee patlee baaliyaan
Zulfen ghaTaaon kee tarah aankhen sitaaron kee tarah
Chalnaa havaaon kee tarah rangat sharaaron kee tarah
Lahnge kee lahron ke tale makkhan se paanv raqs men
PagDanDiyon ke us taraf gaagar kee Chaaon raqs men
Siine chhalakte mai-kade aur honT paimaanon ke lab
Takhnon pe sajtee jhaanjharen hansnaa hansaanaa be-sabab
Ye dekh kar angDaa.iyaan letaa hai dil insaan kaa
Aur is kee har dhaDkan pe hota hai gumaan toofaan kaa
Galiyon men chhup jaatee hain jab ye chaltee phirtee bijliyaan
Hotaa hai taaree ruuh par sunsaan raaton kaa samaan
Galiyon ki sham'en bujh gain aur shahr suna ho gaya
Bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya
Tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan
Ek dhimi dhimi tan mein gane lagin KHamoshiyan
Mashriq ke parbat se ware ubhrin ghaTaen yak-ba-yak
AngDaiyan lene lagin be-KHud hawaen yak-ba-yak
Tare nikalti badliyan chaaron taraf chhane lagin
Chham-chham phuwaron ki jhaDi dharti pe barsane lagin
Maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin
Aur khaT lene ke liye buDhe uchakte hain kahin
Ek sarsarahaT si uThi lahrai tham kar rah gai
Har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai
Phir gungunati zulmaton ka sehr har su chha gaya
Baadal kahin gum ho gae taron pe joban aa gaya
Qudrat ke sab chhoTe baDe qanun hain yaksan magar
Parde paDe hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar
Insan ka ma'sum dil tarik suna shahr hai
Jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahr hai
Jab dekhta hai wo kahin badmast panghaT waliyan
Galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan
Zulfen ghaTaon ki tarah aankhen sitaron ki tarah
Chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah
Lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein
PagDanDiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein
Sine chhalakte mai-kade aur honT paimanon ke lab
TaKHnon pe sajti jhanjharen hansna hansana be-sabab
Ye dekh kar angDaiyan leta hai dil insan ka
Aur is ki har dhaDkan pe hota hai guman tufan ka
Galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti phirti bijliyan
Hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman