sharaarat ik baks kahiin se laaenge rogan se use chamkaaenge
— Ahmad Nadeem Qasmi
Ik baks kaheen se laa.enge roghan se use chamkaa.enge
Ik Dabbe men baasee phulkon kaa ik ambaar lagaa.enge
LaDkon se kahenge aao gramophone phone tumhen sunvaa.enge
Sandooq aur Dabbaa khol ke phir naachenge shor machaa.enge
Aaj apne har ham-jolee ko ham ulloo khuub banaa.enge
Amjad choonee aur tulsee ko daavat pe bulaayaa jaa.egaa
Ik lambaa chauDaa ujlaa dastar-khvaan bichhaayaa jaa.egaa
Dongon kaa aur pleTon kaa ik Dher lagaayaa jaa.egaa
Jab dhakne Dongon se uTThe un men menDak Tarraa.enge
Aaj apne har ham-jolee ko ham ulloo khuub banaa.enge
Topee men ghanTee laTkaa kar ham haule haule joomenge
Sab bachche maare khauf ke khaanaa piinaa bhoolenge
Ham bhuut aayaa chillaa.enge wo zor se aankhen moondenge
Jab rone par aa.enge tab ghanTee kaa raaz bataa.enge
Aaj apne har ham-jolee ko ham ulloo khuub banaa.enge
Bhayyaa se kahenge jaldee baahar chaliyegaa taar aayaa hai
Shaayad sarkaar ne nau sau par fauran shimle bulvaayaa hai
Ammee ne kahaa jab kuch bhee nahin ik billaa choohaa laayaa hai
To ham khaane kee mez ke neeche chupke se chhup jaa.enge
Aaj apne har ham-jolee ko ham ulloo khuub banaa.enge
Ek baks kahin se laenge roghan se use chamkaenge
Ek Dabbe mein basi phulkon ka ek ambar lagaenge
LaDkon se kahenge aao gramophone phone tumhein sunwaenge
Sanduq aur Dabba khol ke phir nachenge shor machaenge
Aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
Amjad chuni aur tulsi ko dawat pe bulaya jaega
Ek lamba chauDa ujla dastar-KHwan bichhaya jaega
Dongon ka aur pleTon ka ek Dher lagaya jaega
Jab dhakne Dongon se uTThe un mein meinDak Tarraenge
Aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
Topi mein ghanTi laTka kar hum haule haule jumenge
Sab bachche mare KHauf ke khana pina bhulenge
Hum bhut aaya chillaenge wo zor se aankhen mundenge
Jab rone par aaenge tab ghanTi ka raaz bataenge
Aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
Bhayya se kahenge jaldi bahar chaliyega tar aaya hai
Shayad sarkar ne nau sau par fauran shimle bulwaya hai
Ammi ne kaha jab kuch bhi nahin ek billa chuha laya hai
To hum khane ki mez ke niche chupke se chhup jaenge
Aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge