tahriir havaa lahron pe likhtii hai to paanii par tahriir kartaa hai
— Ahmad Nadeem Qasmi
Havaa lahron pe likhtee hai to paanee par tahreer kartaa hai
Ki ham farzand-e-aadam kee tarah sab naqsh-gar hain
Ahl-e-fan hain
Zindagee takhleeq karte hain
Sitaara Toot jaataa hai
Magar bujhne se pahle apnee is jagmag ibaarat se fanaa par khanda-zan hota hai
Main miT kar bhee aane vaale lamhon men darakhshaan hoon
Jo pattaa shaakh se girtaa hai
Qirtaas-e-havaa par daa.eron men likhtaa aataa hai
Ki shaakhon par taDapte dosto
Aglee bahaaron men mujhe phir lauTnaa hai phooTnaa hai TooTnaa hai khaak honaa hai
Magar wo khaak jo ashjaar kee maan hai
Vo kaundaa jo ghaTaa par sabt kar ke dastakhat apne
Ba-zaahir jaa chukaa hota hai
Chhup kar dekhtaa hai
Kis tarah taareekiyon men zalzale aate hain
Manzar jaag uThte hain
Vo jaan jo pas-e-dar kitne barson se tanhaa hai
Ik saheefa hai
Kabhee suraj kee kirnon men use dekho
To puuree kaa.enaat is men mujassam paaoge aur jhuum jaaoge
Kitaaben paDhne vaale to na maanenge
Magar az-khaak-taa-aflaak jo kuch bhee hai wo tahreer hai
Alfaaz hain eraab hain nuqte hain shoshe hain kashen hain daa.ere hain harf hain jin men tilism-e-zindagee
Asraar kaa iz.haar kartaa hai
Hawa lahron pe likhti hai to pani par tahrir karta hai
Ki hum farzand-e-adam ki tarah sab naqsh-gar hain
Ahl-e-fan hain
Zindagi taKHliq karte hain
Sitara TuT jata hai
Magar bujhne se pahle apni is jagmag ibarat se fana par KHanda-zan hota hai
Main miT kar bhi aane wale lamhon mein daraKHshan hun
Jo patta shaKH se girta hai
Qirtas-e-hawa par daeron mein likhta aata hai
Ki shaKHon par taDapte dosto
Agli bahaaron mein mujhe phir lauTna hai phuTna hai TuTna hai KHak hona hai
Magar wo KHak jo ashjar ki man hai
Wo kaunda jo ghaTa par sabt kar ke dastaKHat apne
Ba-zahir ja chuka hota hai
Chhup kar dekhta hai
Kis tarah tarikiyon mein zalzale aate hain
Manzar jag uThte hain
Wo jaan jo pas-e-dar kitne barson se tanha hai
Ek sahifa hai
Kabhi suraj ki kirnon mein use dekho
To puri kaenat is mein mujassam paoge aur jhum jaoge
Kitaben paDhne wale to na manenge
Magar az-KHak-ta-aflak jo kuch bhi hai wo tahrir hai
Alfaz hain erab hain nuqte hain shoshe hain kashen hain daere hain harf hain jin mein tilism-e-zindagi
Asrar ka izhaar karta hai