tai karuungaa ye andheraa main akelaa kaise
— Ahmad Nadeem Qasmi
Tai karoongaa ye andheraa main akelaa kaise
Mere hamraah chalegaa miraa saaya kaise
Meree aankhon kee chakaa-chaund bataa saktee hai
Jis ko dekhaa hee na jaa.e use dekhaa kaise
Chaandnee us se lipaT jaa.e havaa.en khelen
Koee rah saktaa hai Dunya men achhootaa kaise
Main to us vaqt se Dartaa hoon ki wo poochh na le
Ye agar zabt kaa aansoo hai to Tapkaa kaise
Yaad ke qasr hain ummeed kee qindeelen hain
Main ne aabaad kiye dard ke sahraa kaise
Is liye sirf khuda se hai takhaatub meraa
Mere jazbaat ko samjhegaa farishta kaise
Zehn men nit-na.e but Dhaal ke ye dekhtaa hoon
But-kade ko wo banaa letaa hai kaa'ba kaise
Gar samundar hee se dariyaaon kaa rizq aataa hai
Us ke siine men utar jaate hain Dariya kaise
Kaise har saans men aa jaataa hoon fardaa ke qareeb
Phir bhee fardaa mujhe de jaataa hai dhokaa kaise
Log jo khaak-e-vatan bech ke khaa jaate hain
Apne hee qatl kaa karte hain tamaashaa kaise