tang aa jaate hain Dariya jo kuhistaanon men

Ahmad Nadeem Qasmi

Tang aa jaate hain Dariya jo kuhistaanon men Saans lene ko nikal jaate hain maidaanon men Khair ho dasht-e-navardaan-e-mohabbat kee ab Shahr baste chale jaate hain bayaabaanon men Ab to le letaa hai baatin se yahee kaam junoon Nazar aate naheen ab chaak garebaanon men Maal choree kaa jo taqseem kiyaa choron ne Nisf to baT gaya bastee ke nigahbaanon men Kaun taareekh ke is sidq ko jhuTlaa.egaa Khair-o-shar donon muqayyad rahe zindaanon men Justujoo kaa koee anjaam to zaahir ho 'nadeem' Ik musalmaan to nazar aa.e musalmaanon men