tark e daryuuza
— Ahmad Nadeem Qasmi
Ab na phailaaungaa main dast-e-savaal
Main ne dekhaa hai ki majboor hai too
Meree dunya se bahut duur hai too
Teree qismat men jahaanbaanee hai
Meree taqdeer men hairaanee hai
Bazm-e-hastee men sar-afraaz hai too
Mere anjaam kaa aaghaaz hai too
Too hai aasooda-e-farsh-e-sanjaab
Khuld hai tere shabistaan kaa javaab
Masjid-e-shahr kee mehraab kaa kham
Teree taqdees kee khaataa hai qasam
Main hoon ik shaa.er-e-aavaara-mizaaj
Aur tire farq pe akhlaaq kaa taaj
Main ne aalam se baghaavat kee hai
Too ne har shai se mohabbat kee hai!
Main ne maz.hab pe bhee ilzaam dharaa
Too ne vahmon ko bhee eemaan samjhaa
Gil kahaan aur khas-o-khaashaak kahaan
Aalam-e-paak kahaan khaak kahaan
Ab na phailaaungaa main dast-e-savaal
Ab na phailaunga main dast-e-sawal
Main ne dekha hai ki majbur hai tu
Meri duniya se bahut dur hai tu
Teri qismat mein jahanbani hai
Meri taqdir mein hairani hai
Bazm-e-hasti mein sar-afraaz hai tu
Mere anjam ka aaghaz hai tu
Tu hai aasuda-e-farsh-e-sanjab
KHuld hai tere shabistan ka jawab
Masjid-e-shahr ki mehrab ka KHam
Teri taqdis ki khata hai qasam
Main hun ek shaer-e-awara-mizaj
Aur tere farq pe aKHlaq ka taj
Main ne aalam se baghawat ki hai
Tu ne har shai se mohabbat ki hai!
Main ne mazhab pe bhi ilzam dhara
Tu ne wahmon ko bhi iman samjha
Gil kahan aur KHas-o-KHashak kahan
Aalam-e-pak kahan KHak kahan
Ab na phailaunga main dast-e-sawal