umr bhar us ne isii tarah lubhaayaa hai mujhe
— Ahmad Nadeem Qasmi
Umr bhar us ne isee tarah lubhaayaa hai mujhe
Wo jo is dasht ke us paar se laayaa hai mujhe
Kitne aa.eenon men ik aks dikhaayaa hai mujhe
Zindagee ne jo akelaa kabhee paayaa hai mujhe
Too miraa kufr bhee hai too miraa eemaan bhee hai
Too ne luuTaa hai mujhe too ne basaayaa hai mujhe
Main tujhe yaad bhee kartaa hoon to jal uThtaa hoon
Too ne kis dard ke sahraa men ganvaayaa hai mujhe
Too wo motee ki samundar men bhee sho.ala-zan thaa
Main wo aansoo ki sar-e-khaak giraayaa hai mujhe
Itnee khaamosh hai shab log Dare jaate hain
Aur main sochtaa hoon kis ne bulaayaa hai mujhe
Meree pahchaan to mushkil thee magar yaaron ne
Zakhm apne jo kurede hain to paayaa hai mujhe
Vaa.iz-e-shahr ke na.aron se to kya khultee aankh
Khud mire khvaab kee haibat ne jagaayaa hai mujhe
Ai khuda ab tire firdaus pe meraa haq hai
Too ne is daur ke dozakh men jalaayaa hai mujhe